
Pewasta Rah, Shajar Sey Umeed-e-Bahar Rakh
(Allama Iqbal Nazam)
Dali Gyi Jo Fasl-e-Khizan Mein Shajar Sey Toot
Mumkin Nahi Hari Ho Sahab-e-Bahar Sey
Hai Lazawal Ehd-e-Khizan Us Kay Wastey
Kuch Wasta Nahi Hai Usey Barg-o-Baar Sey
Hai Tere Gulistan Mein Bhi Fasl-e-Khizan Ka Dour
Khali Hai Jaib-e-Gul, Zar-e-Kamil Ayyar Sey
Jo Nagma Zan Thay Kalwat-e-Auraq Mein Tyoor
Rukhsat Howay Tere Shajar-e-Syay Dar Sey
Shakh-e-Burida Sey Sabaq Andooz Ho Kay To,
Na Ashnaa Hai, Qaida-e-Rozgar Sey
Millat Kay Sath Rabta Istiwaar Rakh
Pewasta Rah Shajar Sey, Umeed-e-Bahar Rakh
●▬▬▬▬๑۩۩๑▬▬▬▬▬●
Thanks For Reading The Allama Iqbal Famous Nazam
"Pewasta Reh Shajar Sey, Umeed-e-Bahar Rakh"
If You Want To Read Tashreeh Of This Nazam, Click Here
●▬▬▬▬๑۩۩๑▬▬▬▬▬●
If You Want To Read More Best Nazams and Ghazals, Go and Click Here.
0 Comments