Yeh Andaz-e-Guftagu Kia Hai | Mirza Ghalib Poetry | Good Poetry Place | Urdu Poetry | Mirza Ghalib

Mirza Ghalib Ghazal:


 Har Aik Baat Pey Kehtey Ho Tum Key Tu Kia Hai

Tumhe Kahoon Key Yey Andaaz-e-Ghftagu  Kia Hai



 Har Aik Baat Pey Kehtey Ho Tum Key Tu Kia Hai

Tumhe Kahoon Key Yey Andaaz-e-Ghftagu  Kia Hai





 Na Shaulay Mein Yey Karishma, Na Barq Mein Yey Adaa

Koi Bataao Key Woh Shokh-e-Tundkhoo Kia Hai



 


Yey Rashk Hai Kay Woh Hota Hay Hum-Sakhan Tum Sey

Wagarna Khauf-e-Bad Amoozi E'Doo Kia Hai



 


Chipak Raha Hay Badan Par Lahoo Sey Perahan

Hamary Jaib Ko Ab Hajat-e-Rafuo Kia Hai



 


Jala Hay Jism, Dil Bhi Jal Gya Hoga

Kuredtay Ho Jo Ab Rakh Joustojo Kia Hai




 

Ragon Mein Dortay Phirhney Kay Hum Nahi Qayil

 Jab Aankh Sey Hi Na Tapka Tou Phir Lahoo Kia Hai





 Woh Cheez Jis Key Liyay Hum Ko Ho Bahisht Aziz

Siwaye Baadh'e Gulfham-e-Shakbo Kia Hai



 


Piyoon Sharaab agar Khom Bhi Dekh Loon Do Chaar

Yey Sheesha o Qadah o Kozah o Saboo Kia Hai





 Rahi Na Taqat-e-Guftar Aur Agar Ho Bhi

To Kis Umeed Pey Kahiyey Key Aarzoo Kia Hai



 


Howa Hai Shah Ka Musahib, Phere Hai Itraata

Wagarna Shehar Mein Ghalib Ki Arzoo Kia Hai  


   



Post a Comment

0 Comments